Swaha jo aik khoobsurat gareelo larki thee jisko chuda sal ki umar mein kamar ka falij ho gaya tha . Om Swaha ka acha dost tha aur uska baap swaha kay baagh ka mali thaa . wo choonka aik honhar student thaa aur oski Swaha kay baap nay madad ki islaiy wo bahar mulk ja saka . Jab wo wapis aya tho usay swaha ki badkismathi ka patha challa aur usay afsoos huwa . laikan Swaha bari mazbooth thee . Us nay zindagi jeenay kay laiy bahooth jadoojihad ki . Wo khanay ka tharkeek banaya karthi thee apnay paroosyoo aur doosthu ki onki salgara par wish karthi aur zaroorathmandhoon ki aik ya dosray tharakay say madad karthi . oskay maan baap uskay liyay bahooth fikarmandh thay . khas kar oska baap , jisnay apni beeti kay liyay mauth ki arzoo ki . Basthray marg par Swaha nay apni cousin Devi (jo iski dhaik bhaal mein apni maan ka haath bathathee thee ) ki shaadi Om say karadhi . Apnay marg ka baad bhi unsay Rajak naami andhay larkay ko apni ankhain dhay dein . Oski mauth kay baad oska baap bhi margaya , aisa laga jaisay wo apni bheethi ki mauth thak zinda rehna chahtha thaa . Is waqaiy nay Swaha ki maan ko aur zyada mazbooth kar diya aur usnay nurse bannay ka faisla kiya aur zaroorath mandhoon ki madad ki . yaha sab kuch dehateeta hay jiska mathlab rooh say baland aur oopar . Swaha ki mohabath doosron ka liya oski maan ki doosron ki khidmath aur Om ki madadh
sab kuch rooh say balandh darja hay .